Monday, April 20, 2015

Maaf kiya

Jo taan kay seena chaltay thay, aur thok kay seena kehtay thay, ja humnay tumko maaf kiya,
Jo naak ko uncha rakhtay thay, aur ghuma fira Kay kehtay thay, dekh tujhko humnay maaf kiya,
Wo jab darpan ko chehra dikhatay thay, toh darpan aankh chura kay kehta tha, too koun hai, kisko toonay maaf kiya,
Ek din too moti bann kay gir jaayega, raaho may saj jayega, fir tujhko na koi sunn payega..
Goonjegi tabb bhi yahi hawa, ghoom ghoom kahegi yahi sada, haan.. jaa humnay tujhko maaf kiya..
Jo maaf kiya kartay hai, woh nahi jatatay ehsaano ko..
jo ehsaan jatatey feertay hai, nazrandaz karo unn insaano ko..
Sansar ka ye he neeyam hai, ek din sab mit jata hai, har koi seekh kay jata hai..

जो तान के सीना चलते थे, और ठोक के सीना कहते थे, जा हमने तुमको माफ़ किया.… 
जो नाक को ऊूँचा रखते थे, और घुमा फिरा के कहते थे, देख हमने तुमको माफ़ किया.… 
वो जब दर्पन को चेहरा दिखाते थे, तो दर्पन आँख चुरा के कहता था, तू कौन है, किसको तूने माफ़ किया.…
एक दिन तू मोती बन के गिर जायेगा, राहों में सज जायेगा, फिर तुझको न कोई सुन पाएगा…  
गूँजेगी तब भी यही हवा, घूम घूम कहेगी यही सदा, हाँ… जा हमने तुमको माफ़ किया.…
जो माफ़ किया करते है, वो नहीं जताते एहसानो को… 
जो एहसान जताते फिरते है, नज़रअंदाज़ करो उन इंसानो को… 
संसार का ये ही नियम है, एक दिन सब मिट जाता है, हर कोई सीख के जाता है…

Thursday, February 5, 2015

Hans ki chaal

Ek Hans chala Hans ki chal, saath hai uskay pankh aur kuch Yaad kuch khayal
Thaka kabhi toh hua kabhi behal, par Hans ko toh chalna hai humesha he Hans ki chal?
Toh Ruka, piya kuch pani aur Socha Araam karengay kal
Kuch Miley usay sarahnay walay toh kuch  thay bass nochnay walay baal 
Baal, Baal ki khaal 
Karkay sabko kinaray wo khush he raha har haal
Kabhi mila toh kha Liya, nahi toh soya kiya wo kisi bhi daal
Kuch chaha toh kisi ka sath, milay koi Jo usko day taal say taal
Ek din mili usay ek hansini, Jo mila rahi thi uski chaal say chaal
Pass gaya, ummeed bhari kuch ankho may, Sharm say tha kuch kuch behaal 
Hansini nay diya usko apna haath, boli chalo pyaar bhara hoga har saal
Tabhi waha say gujray kuch insaan, Kuch dhoond rahay thay jisko wo lay paal 
Pakda dono ko, alag alag pinjro may unko diya daal
Akelapan fer aaya, par abb aur bhi chubhta, karta tha behaal
Hans Hansini keh rahay aaj bhi har jan say karkay pukar 
Krupa Karo aur Chalnay do naa ek baar fer Hans ko Hans ki chaal